Search This Blog

Saare Jahan Se Achha, Hindustan Hamara.

Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Dekhna hai zor kitna baazuay qaatil mein hai.
Hum to ghar se nikle hi the baandhkar sar pe qafan,
Chaahatein liin bhar liye lo bhar chale hain ye qadam.
Zindagi to apni mehmaan maut ki mehfil mein hai,
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Dil mein tuufaanon ki toli aur nason mein inquilaab,
Hosh dushman ke udaa denge humein roko na aaj.
Duur reh paaye jo humse dam kahaan manzil mein hai,
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Dekhna hai zor kitna baazuay qaatil mein hai.
Yoon khara maqtal mein qatil keh raha hai baar-baar,
Kya tamanna-e-shahaadat bhi kisi ke dil mein hai.

Jai Hind!